Breakup Shayari In English – 95+ Best Breakup Shayari

Breakups are never easy—they leave behind a whirlwind of emotions, memories, and often unspoken words. For many, expressing this heartache becomes a form of healing, and what better way to do it than through Shayari? Breakup Shayari beautifully captures the depth of love lost, the pain of separation, and the silent strength in moving on. In this collection of 95+ Best Breakup Shayari in English, you’ll find heartfelt verses that resonate with anyone who has loved and lost. Whether you’re looking to express your own feelings or understand someone else’s, these Shayari pieces serve as soulful reflections of heartbreak and resilience. From sorrowful goodbyes to the quiet hope of a new beginning, each line speaks directly to the heart. Dive in and let these words bring you comfort, closure, or simply the courage to feel. After all, sometimes poetry says what the heart struggles to express.

 

 

Heartfelt Breakup Shayari In English

Turk-e-taalluqaat ke baad
Suna hai samne sab ke woh aksar muskurati hai
Magar tanhaiyon mein toot kar aansu bahaati hai

Ae mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya

Kuch kehne ka waqt nahin yeh kuch na kaho khamosh raho
Ae logon khamosh raho haan ae logon khamosh raho

Tu bhi chup hai main bhi chup hoon yeh kaisi tanhaai hai
Tere saath teri yaad aayi, kya tu sach much aayi hai

Meri aankhein dhuaan dhuaan si
Aur dil bhi hai toota toota sa

Jo guzari na jaa saki hum se
Hum ne woh Zindagi guzari hai

Kuch kahoon, kuch sunoon, zara thehro
Abhi zindon mein hoon, zara thehro

Dil mein afsos, aankhon mein nami si rehti hai
Zindagi mein shayad koi kami si rehti hai

Tod ke dil maafi ka taqaaza karte hain
Gunahgaar karte hain jab yeh taqaaza karte hain

Sitaron se uljhta ja raha hoon
Shab-e-furqat bohat ghabra raha hoon

Turk-e-taalluq ki hum se yeh ab shikayat kaisi pari
Mohabbat ke rishton mein khaya hai dhoka bohat
Logon ne meri chahaton ka mazaaq uraya hai bohat

Tumhare baad khamoshi ka manzar
Dil naashaad, khamoshi ka manzar

Yeh raabiton mein ghaflat, yeh bhoolne ki aadat
Kahin door ho na jana, yunhi door rehte rehte

Kabhi kabhi jeene ke liye judaai aise zaroori ho jaati hai
Jaise jannat paane ke liye maut zaroori ho jaati hai

Aansoon ko behne ki lat lag gayi hai
Kuch nahin dekhte jin aankhon se woh beh rahe hain

Kuch kehne ka waqt nahin, yeh kuch na kaho, khamosh raho
Ae logo, khamosh raho, haan ae logo, khamosh raho

Aankhon mein sitare to kai shaam se utare
Par dil ki udaasi, na dar-o-bam se utare

Deep Breakup Shayari English

Manzilen bhi uski thi, rasta bhi uska tha
Ek main akela tha, qafila bhi uska tha

Agarche main ek chattan sa aadmi raha hoon
Magar tere baad hausla hai ke jee raha hoon

Khamoshi toot jaati hai Sunno
Bada maan hai na tumhein apne lehje par

Kaam ki baat maine ki hi nahin
Yeh mera taur-e-zindagi hi nahin

Haseen teri aankhen, haseen tere aansoo
Yahin doob jaane ko jee chahta hai

Ae chaand, tu kitna khush naseeb hai phirta hai gali gali
Hum kitne badnaseeb hain, milte hain kabhi kabhi

Dil mera ban ke aaina toota
Teri mehfil mein baarha toota

Yeh theek hai ke teri bhi neendain ujhad gayi hain
Tujh se bichhad ke hum se bhi soya nahin gaya

Qissay meri ulfat ke jo marqoom hain saare
Aa dekh tere naam se mausoom hain saare

Is gali ne yeh sunkar sabr kiya
Jaane wale yahan ke the hi nahin

Yaad aaunga har ghadi tum ko
Ek baar bichhad to jaane do

Jidhar jaate hain sab, jaana udhar achha nahin lagta
Mujhe paamaal raston ka safar achha nahin lagta

Khushboo jaise log mile afsane mein
Ek purana khat khola anjaane mein

Woh tark-e-taalluq ka ishara nahin karte
Har baat bhi ab hum se gawara nahin karte

Taalluq is tarah todnaahi karte
Ke phir se jorna dushwaar ho jaaye

Tum se tark-e-taalluq ke bawajood
Mahsoos ki hai teri kami kabhi kabhi

Tark-e-taalluqaat ki qeemat na poochiye
Bikhre huye jazbaat ki hasrat na poochiye

Taalluq to toote ga kaise
Kabhi khwaahish, kabhi hasrat ban kar
Dil mein yaad-e-ilahi aati hai baar baar

Bohat roya woh hum ko yaad kar ke
Hamari zindagi barbaad kar ke

Sad Breakup Shayari In English

Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain
Dar se uthte hain to deewar se lag jaate hain

Tonne hamesha aane mein der kar di
Main ne hamesha apni ghadi ko kharaab samjha

Muddat hui bichhde huye ek shakhs ko lekin
Ab tak dar-o-deewar pe khushboo ka asar hai

Sau baar yeh dil toota, sau baar huay sodaai
Jab bhi kisi ladki ne hum ko hai kaha bhai

Hamari aankhon mein be-wajah aa gaye aansoo
Yaqeen kijiye kisi baat par nahin aaye

Apne aanchal mein chhupa kar mere aansoo le ja
Yaad rakhne ko mulaqat ke jugnu le ja

Eid ke chaand ki maanind hua hai shayad
Haaye woh jo roz mila karta tha khwabon mein

Hum tere hijr mein yun zard hote jaate hain
Log taktay hain to hamdard hote jaate hain

Aaj badi khamoshi se guzara kiya
Sirf ek hum-umar ko ishara kiya

Alvidaise kaise kahoon
Zakhm zakhm hai zubaan

Chal nikalti hain gham-e-yaar se baatein kya kya
Hum ne bhi kiyaan dar-o-deewar se baatein kya kya

Khatm taalluq kare to koi gham nahin
Yeh baat bhi seh jaayenge uski khushi mein hum

Tark-e-taalluq hai na yeh be-murawati
Khwaahish ke ehtiraam mein hain, bandishein khud par

Emotional Breakup English Shayari

Dard barhta hi rahe, aisi dawa de jao
Kuch na kuch meri wafaaon ka sila de jao

Maut se kaho zara intezaar kare
Abhi umeed hai mujhe uske aane ki

Tark-e-taalluq hai na yeh be-murawati
Khwaahish ke ehtiraam mein hain, bandishein khud par

Sach kahoon, saha nahin jaata
Jab tum rooth jaate ho,

Jhuka ke sar khamoshi pe isaar kiya hai
Ikrar-e-mohabbat ka yun izhaar kiya hai

Kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
Aansoo ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta

Majrooh kar ke ab haal-e-dil ka poochoge
Khoj karo to khud ko na-qabil-e-maafi paoge

Khamoshi raat ki dekhta hoon aur tujhe sochta hoon
Mad-hosh aksar ho jaata hoon aur tujhe sochta hoon

Dil abhi toota nah tha ke sawaal uth gaye
Aage se kuch aur hi vabaal uth gaye
Dil abhi toota nah tha ke sawaal uth gaye

Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bohat kuch jala ke dekh liya

Khamoshi mein pyaar ke izhaar bhi hain
Pas-parda chahat ke asaar bhi hain

Taalluq todta hoon to mukammal tod deta hoon
Jise main chhor deta hoon to mukammal chhor deta hoon

Heart Touching Breakup Shayari In English

Usne toda woh taalluq jo meri zaat se tha
Use ranj na jaane meri kis baat se tha

Woh dil kahan se laoon teri yaad jo bhula de
Mujhe yaad aane wale koi rasta bata de

Kathin tanhaiyon se kaun khela main akela
Bhra ab bhi mere gaon ka mela main akela

Honton pe hai khamoshi maut ki
Aankhon mein hai tareeki maut ki

Raat tareek, raaste khaamosh
Manzilon tak hain qamqame khaamosh

Us ko juda hue bhi zamaana bahut hua
Ab kya kahein, yeh qissa puraana bahut hua

Hai aaj yeh gila ke akela hai Shehryar
Tarso ge kal hujoom mein tanhaai ke liye

Aankh lagti hi nahin, khauf hai taari aisa
Khawab aate hain sabhi tujh se bichhadne waale

Toota hua dil kyun na ghabraaye
Shikasta deeewaron ke makaan gir jaate hain

Kabhi is dard se guzro to maaloom ho tum ko
Judaai woh beemari hai jo dil ka khoon peeti hai

Waqt ne sabr karna seekha diya
Warna hum to tera door jaana maut samajh baithe the

Best Breakup Shayari In Roman English

Taluq toota nahin karte
Khafa hona mana lena
Yeh sadiyon se riwayat hai

Aap ne tasveer bheji, maine dekhi ghor se
Har ada achhi, khamoshi ki ada achhi nahin

Ek chaand akela hai sitaaron ke beech mein
Meri pasand hai tu hazaaron ke beech mein

Bas ab tark-e-taluq ke bahut pehlu nikalte hain
So ab yeh tay hua hai shehar se saadhu nikalte hain

Taluq toḍta hoon to mukammal toṛ deta hoon
Jise main chhod deta hoon to mukammal chhoṛ deta hoon

Tark-e-taluq ki hum se yeh ab shikayat kaisi pari
Mohabbat ke rishton mein khaya hai dhoka bahut
Logon ne meri chaahton ka mazaaq udaya hai bahut

Tera bichhadna koi aam waaqia nah tha
Kai baras lage khud ko yaqeen dilate hue

Behtar yahi tha ke mar jaate ya maar dete
Yeh bichhad ke aziyat mein daal diya tune

Khamoshiyon ka mausam, sargoshiyon ka mausam
Ek dard-e-la dawa hai madhoshiyon ka mausam

Woh jo haath tak lagane ko samajhta tha be-adabi
Gale lag ke ro diya bichhadne se zara pehle

Yunhi dekha hai ghadi ki jaanib
Humein kisi ka intezaar thodi hai

Bekhudi mein le liya bosa, khata kijiye maaf
Yeh dil betaab ki saari khata thi, main na tha

Friendship Breakup Shayari

Ae dost, humne tark-e-taluq ke bawajood
Mehsoos ki hai teri zarurat kabhi kabhi

Teri khushiyon ka sabab yaar koi aur hai na
Dosti mujh se aur pyaar koi aur hai na

Itna to hua ae dil ek shakhs ke jaane se
Bichhde huye milte hain kuch dost puraane se

Alvida ae dost
Teri dosti mein fana ho rahe hain
Tadapta hai dil ke juda ho rahe hain

Dosti ka haath
Guzar gaye kai mausam kai raten badlein
Udaas tum bhi ho yaaro, udaas hum bhi hain

Log juda hue aur bhi lekin
Ek tera juda hona mujh ko veeran kar gaya

Qisse meri ulfat ke jo marqoom hain saare
Aa dekh tere naam se moosoom hain saare

Naya ek rishta paida kyun karein hum
Bichhadna hai to jhagra kyun karein hum

Aap ki aankh se gehra hai meri rooh ka zakhm
Aap kya soch sakein ge meri tanhaai ko

Tum se ab pehle sa taluq to nahin
Yeh aur baat hai tumhein bhoola paaye nahin

Rooh pyaasi kahan se aati hai
Yeh udaasi kahan se aati hai

Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye

Tere hijr se taluq ko nibhaane ke liye
Maine is saal bhi jeene ki qasam khai hai

Khamoshi ko bewafai kehna laazmi tha
Warna hum tumhari nazron mein utar jaate

Love Breakup Shayari In English

Maine tasveer phenk di hai magar
Keel deewar mein gadhi hui hai

Dil apna toota to kya hua
Saath un se chhoota to kya ho

Toota hai dil hamara, tumhara to nahin
Main thak ke gira hoon, abhi haara to nahin

Zara si der jale, jal ke raakh ho jaaye
Woh roshni de, bhale jal ke raakh ho jaaye

Tujh ko bhoola nahin woh shakhs jo
Teri baanhon mein bhi akela tha

Taluq is tarah todna nahi karte
Ke phir se jodna dushwaar ho jaaye

Mud kar dekhne ki jurrat wohi karta hai
Jis ko yeh yaqeen ho ke peeche koi muntazir hoga

Aaj socha to aansu bhar aaye
Mudatein ho gayin muskuraye

Tark-e-taluqaat pe roya na tu na main
Lekin yeh kya ke chain se soya na tu na main

Kal hamesha ki tarah usne kaha yeh phone par
Main bahut masroof hoon, mujh ko bahut se kaam hain

Tum tark-e-taluq ka zikr kisi se mat karna
Main yeh keh doonga ke fursat nahin milti

Tumhare khat mein naya ek salaam kis ka tha
Na tha raqeeb to aakhir woh naam kis ka tha

Apne andaaz ka akela tha
Is liye main bada akela tha

Kyun kisi aur ko dukh dard sunaoon apne
Apni aankhon se bhi main zakhm chhupaoon apne

Powerful Shayari Breakup English

Teri khamoshi mein ek raaz chhupa hai
Teri udaasi mein ek dard chhupa hai

Khamoshi keh rahi hai
Ae musafir suno! Meri qabar hi saja jao
Un ke aangan ke shajar ki yahan daali hi laga jao

Bas ab tark-e-taluq ke bahut pehlu nikalte hain
So ab yeh tay hua hai shehar se saadhu nikalte hain

Aankhen rehti hain shaam o sahar muntazir teri
Aankhon ko soonp rakha hai intezaar tera

Yeh ajab judaai thi tujhe alvida bhi na keh sake
Tere paas rehne ka socha tha, tere shehar mein bhi na reh sake

Khamoshi dam toṛ gayi
Mujh se naata toṛ gayi

Alvida kehne ko dil nahi maanta
Pehle din mile the anjaan the jo
Aaj ek doosre ki jaan ho gaye

Agar yaqeen nahin aata to aazmaaye mujhe
Woh aaina hai to phir aaina dikhaye mujhe

Achhi soorat pe ghazab toot ke aana dil ka
Yaad aata hai humein haaye zamaana dil ka

Na jaane rait ki tarah kyun nikal jaate hain woh log
Jin ko hum zindagi samajh kar kabhi khona nahi chahte

Har judaai ka sabab bewafai hi nahin hota
Kuch judaai ka sabab ek doosre ki bhalaai bhi hai

Khamoshi buraan sada hai, tum bhi chup ho, hum bhi chup
Sanata tak cheekh raha hai, tum bhi chup ho, hum bhi chup

Breakup Sad Shayari English

Khatam taluq kare to koi gham nahi
Yeh baat bhi seh jaayenge uski khushi mein hum

Maut se pehle bhi ek aur maut hoti hai
Dekho zara tum kisi apne se juda ho kar

Dhund ke paar nazaron mein kahin rehta hai
Woh shakhs waqt ke dharon mein kahin rehta hai

Tark-e-taluqaat ki qeemat na poochiye
Bikhre huye jazbaat ki hasrat na poochiye

Badshahon ko sikhaya hai qalandar hona
Aap aasaan samajhte hain munawwar hona

Usne toda woh taluq jo meri zaat se tha
Use ranj na jaane meri kis baat se tha

Jum humne kiya hai gham dil mein
Iska ab sood khaye jaayenge

Agar woh bichhad kar jee sakte hain
Tum mar hum bhi nahin jaayenge

Kaun kehta hai main akela hoon
Un raahon par hamesha main jis ke saath chalta tha
Aaj un raahon par apni tanhaiyon ke saath chalta hoon

Koi sada muntazir nahi rehta
Har taluq musaafirana hai

Tujh ko bhoola nahi woh shakhs jo jo
Teri baahon mein bhi akela tha

Jo milte hain dost woh bichhadte hain zaroor
Main naadaan tha jo ek shaam ki mulaqat ko zindagi samajh baitha

Us ko juda huye bhi zamana bohot hua
Ab kya kahen yeh qissa purana bohot hua

Jab se toota hai yeh dil
Ab beqaraar nahi rehta

Main ne jo kuch bhi socha hua hai woh main waqt aane par kar jaoonga
Tum mujhe zehar lagte ho aur main kisi din tumhein pee kar mar jaoonga

Poetry For Breakup

Khamoshi se bikharna aa gaya hai
Humein ab khud ujadhna aa gaya hai

Tum se tark talluq ke bawajood
Mehsoos ki hai teri kami kabhi kabhi

Us raat badi khamoshi thi
Main usko dhoondhne nikla to
Us raat dariche khaali the

Tere hijr se talluq ko nibhaane ke liye
Maine is saal bhi jeene ki kasam khai hai

Bichhadne ki itni jaldi thi use
Khud ko chhod gaya aadha mujh mein

Yoon to kehne ko bahut log shanaasa mere
Kahan le jaun tujhe aye dil-e-tanha mere

Tum se ab pehle sa talluq to nahi
Yeh aur baat hai tumhein bhoola paaye nahi

Shaam ki khamoshi mein yeh shor kaisa hai
Raahon se poochte hain yeh mod kaisa hai

Tark-e-talluq ke saare hi marhale suresh
Main dekhta hi reh gaya woh paar kar gayi

Maaf karna zehan se nikal gaya hai
Tum se jo kehna tha ho ke roobaru

Hai mujhe yaad ab bhi woh saawan ki raat
Thi woh tujh se meri alvidaai mulaqat

Aaj jin jheelon ka bas kagaz mein naqsha reh gaya
Ek muddat tak main un aankhon se behta reh gaya

Top Sad Breakup Poetry

Tum jab aaogi to khoya hua paogi mujhe
Meri tanhai mein khwabon ke siwa kuch bhi nahi

Chupke chupke raat din aansu behana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai

Main dil pe jabar karunga tujhe bhula doonga
Marunga khud bhi tujhe bhi kadi saza doonga

December to yun hi badnaam hai yaaro
Bichhadne waaye to June-July mein bhi bichhad jaate hain

Talluq to toote ga kaise
Kabhi khwahish kabhi hasrat ban kar
Dil mein yaad-e-ilahi aati hai baar baar

Sard mausam mein udaasi achhi nahi lagti
Pyaar mein yaar ki khamoshi achhi nahi lagti

Hum samajh gaye saari
Tumhari an kahi baatein

Bichhadne ki itni jaldi thi use
Khud ko chhod gaya aadha mujh mein

Labon pe aap ke yeh khamoshi achhi nahi lagti
Gila shikwa hi kar daalo ke kuch waqt kat jaaye Faraz
Labon pe aap ke yeh khamoshi achhi nahi lagti

Ab kisi se mera hisaab nahi
Meri aankhon mein koi khwaab nahi

Alvidaai mein unke chehre ko taktay rahe der tak
Phir uske baad unka deedaar mayassar na aaska

Khamoshiyon ke toofan ko yun na uljhaya kar
Apni haalat-e-zaar se kuch to bataya kar

Main akela chala tha pairo se jung karne
Un ke ghundey aate rahe mujhe tang karne

Breakup Poetry In Urdu English

Alvida saal guzishta
Khushiyan mile gham bhi mile is saal mein humein
Achhe bure din bhi mile is saal mein humein

Aye dost humne tark-e-talluq ke bawajood
Mehsoos ki hai teri zarurat kabhi kabhi

Woh mili bhi to kya mili ban ke bewafa mili,
Itne to mere gunaah na the jitni mujhe saza mili

Gham ki parchhaiyaan
Yaar ki rusvaiyaan,
Waah re mohabbat! tere hi dard
Aur teri ho davaaiyaan.

Hawa guzar gayi patte hile bhi nahi,
Woh shehar mein aaye humse mile bhi nahi

Khushiyon ka har rang jaise feeka pad gaya hai,
Dil ka har kona dard se bhar gaya hai.

Dhokha bahut mil gaya hai,
Ab mujhe mauke ki talaash hai.

Har kisi ko achha samajhna chhod do,
Kyunki log andar se woh nahi hote, jo bahar se dikhai dete hain.

Mujhe chhodkar woh khush hai to shikayat kaisi,
Ab unhe khush bhi na dekhoon to ye mohabbat kaisi.

 

 

 

Conclusion:

Breakups may leave behind scars, but they also pave the way for emotional growth and self-discovery. Through the timeless art of Shayari, we find a voice for the pain, the longing, and the bittersweet memories that come with letting go. This collection of 95+ Best Breakup Shayari in English offers more than just poetic verses—it provides comfort, connection, and a sense of shared experience for those navigating heartbreak. Whether you’re seeking words to heal, to reflect, or to express emotions you can’t quite say aloud, these Shayari lines offer a gentle reminder that you’re not alone. Heartbreak is a universal emotion, and through poetry, it becomes a little easier to bear. Let these verses help you embrace the past, process the present, and look toward the future with strength. Because even after goodbye, the heart can still find its rhythm—and sometimes, a new story begins where another ends.

Leave a Comment