Sad Shayari In Roman English – 120+ Sad Love Shayari In English

Sad Shayari in Roman English offers a heartfelt way to express the deep emotions of pain, loss, and longing that come with love and heartbreak. Whether you’re dealing with unspoken feelings, a broken heart, or the silent ache of missing someone, Sad Shayari helps put those emotions into words. This collection of 120+ Sad Love Shayari in English written in Roman script is perfect for those who feel deeply but find it hard to express themselves. Each Shayari resonates with the emotions of sorrow and romance, capturing the essence of love’s bittersweet side. These verses can be used for status updates, social media captions, or simply to reflect your mood. Whether you’re going through a breakup or just reminiscing about a lost love, this curated list is meant to touch your soul and give comfort in times of emotional turmoil. Let your heart speak through these touching words.

Best Sad Shayari In English

Na karwatein thi na bechainiyan thi,
kya gajab ki neend thi mohabbat se pehle.

Jeena chahta hoon magar zindagi raaz nahin aati,
Marna chahta hoon magar maut paas nahin aati,
Udaas hoon is zindagi se,
Kyunki uski yaadein bhi to tadpaane se baaz nahin aati.

Kuch to socha hoga kaaynaat ne tere-mere rishte par,
Warna itni badi duniya mein tujhse hi baat kyun hoti.

Ye waqt noor ko benoor kar deta hai,
Chhote se zakhm ko nasoor kar deta hai,
Kaun chahta hai apno se door rehna,
Par waqt sabko majboor kar deta hai.

Waqt ki rawani ne kuch is tarah sabak sikha daala,
Wafa baaki rahi par mizaaj-e-ishq badal daala.

Phir se ek umeed paal baithi hoon,
Phir se tere pate par chitti daal baithi hoon.

Jiske naseeb mein hon zamaane ki thokarein,
Us badnaseeb se na sahaaron ki baat kar.

Ruthunga agar tujhse to is kadar ruthunga ki,
Yeh teri aankhein meri ek jhalak ko tarasengi.

Mauka mila to, hum tumse door zaroor jayenge,
Abhi mohabbat mein busy hoon, humein koi door nahin kar sakta…

Mizaaj ko bas talkhiyan hi raas aayi,
Hum ne kai baar muskurakar dekh liya.

Waqt bahut kam hai saath bitane mein,
Ise na gawaana kabhi ruthne manane mein,
Rista to humne baandh hi liya hai aap se,
Bas thoda sa saath de dena ise nibhaane mein.

Main phir se nikalunga talaash-e-zindagi mein,
Dua karna doston is baar kisi se ishq na ho.

Single hoon, par uski yaad mein aaj bhi aansu behte hain,
Izhaar bhale hi na kar paaye, par roz unka intezaar kiya karte hain.

Heart Touching sad Shayari In English

Aane wala kal achha hoga,
bas is soch mein aaj beet jaata hai.

Tumhare baad na takmeel ho sake apni,
Tumhare baad adhure tamaam khwaab lage.

Meri udaasi mujhse roz milne aati hai,
Muskurakar har baar use ruksat kar deta hoon.

Lipat lipat ke keh rahi hai ye woh chand aakhri shaamein,
Lafida kehne se pehle mujhe ek baar gale se laga lo.

Waqt ki yaari to, har koi kar leta hai,
Maza to tab hai jab, waqt badle aur yaar na badle.

Is tarah ruth kar na jaaya karo,
Dil ko yun takleef na pahunchaya karo,
Ki bada mushkil hai tumhare bina jeena,
Mere pyaar par kuch to taras khaya karo.

Ahsas mita, talaash miti, mit gayi,
Umeedain bhi sab mit gayi, par jo na mit,
na saka woh hai yaadein teri.

Tumhari yaad ke saaye mere dil ke andhere mein,
Bahut takleef dete hain mujhe jeene nahi dete,
Akele raah mein hamrah koi mil to jaata hai,
Magar kuch dard hain jo dil bahlne nahi dete.

Mohabbat ka koi kasoor nahi, use to mujhse ruthna hi tha,
Dil mera sheeshe sa saaf, aur sheeshe ka anjaam to tootna hi tha.

Ishrat-e-qatra hai dariya mein fanaa ho jaana,
Dard ka hadd se guzarna hai dawa ho jaana.

Teri chaukhat se sir uthaoon to bewafa kehna,
Tere siwa kisi aur ko chaahoon to bewafa kehna,
Meri wafaon pe shak hai to khanjar uthaa lena,
Main shauq se mar na jaoon to bewafa kehna.

Hindi Sad Shayari In Roman English

Padh na lein kahin ek doosre ki aankhon ki udaasi,
Hum milte hain ab bhi nazarien milate nahi hain.

Sambhal kar chalna hum bhi jaante the,
Par thokar bhi lagi usi patthar se jise hum apna samajhte the.

Main kyun kuch soch kar dil chhota karoon,
Woh utni hi kar saki wafa, jitni uski aukaat thi.

Meri muskurahat ko haqeeqat na samajh ae dost,
Dil mein jhaank kar dekh kitne udaas hain hum.

Kyun kisi se itna pyaar ho jaata hai,
Ek pal ka intezaar bhi dushwaar ho jaata hai,
Lagne lagte hain apne bhi paraye,
Aur ek ajnabi par aitbaar ho jaata hai…

Har signal teri yaad dilata hai,
Tune bhi rang kuch is tarah badla tha.

Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Is tarah judaai ka gham mita lete hain,
Agar kabhi unka zikr ho jaaye to,
Bheegi palkon ko hum jhuka lete hain.

Tumse nahi hoga mere dard ka ilaaj,
Ghaav ko nasoor hue varshe guzargayi.

Dil mein chhupe ho, door jaoge kaise,
Main kabar mein chhup jaoon, to dhoond paoge kaise.

Bade hi ajeeb hain ye zindagi ke raste,
Anjaane mod par kuch log apne ban jaate hain,
Milne ki khushi de ya na de,
Magar bichadne ka gham zaroor de jaate hain.

Zameen par mera naam woh likhte aur mitaate hain,
Waqt unka to guzhar jaata hai, mitti mein hum mil jaate hain.

Jab rishta naya hota hai to,
log baat karne ka bahaana dhoondhte hain,
Aur jab wahi rishta purana ho jaata hai,
to log door hone ka bahaana dhoondhte hain.

Sad Shayari In Roman English For Love

Aaj phir kisi ka gham apna banane ko ji karta hai,
Kisi ko dil mein bithane ko ji karta hai,
Aaj dil ko kya hua khuda jaane,
Bujhti hui shama phir jalane ko ji karta hai.

Uski mohabbat ka silsila bhi kya ajeeb tha,
Apna bhi nahi banaya aur kisi aur ka bhi na hone diya.

Sirf ashk hi gawahi de sakte hain meri,
Ki dil kitni shiddat se yaad karta hai tujhe.
✤Miss you love✤

Mehfil lagi thi bad-duaon ki,
Humne bhi dil se kaha, use ishq ho,
use ishq ho, use ishq ho.

Kishton mein khudkushi kar rahi hai ye zindagi,
Intezaar tera – mujhe poora marne bhi nahi deta…

Jab bhi koi hadd se zyada yaad aata hai,
Tab bachche ki tarah rone ka man karta hai.

Yakeen tha ki tum bhool jaoge mujhko,
Khushi hai ki tum umeed par khare utre.

Kiya hai bardasht tera har dard is aas ke saath,
Ki Khuda noor bhi barsaata hai aazmaishon ke baad.

Hum gamo ko chhupane ka kaarobaar karte hain,
Kasoor bas itna hai ki hum gham dene wale se hi pyaar karte hain.

Abhi na chhed mohabbat ke geet ae musafir,
Abhi hayat ka mahol khush-gwaar nahi.

Itni saari baatein mat kiya karo mujhse,
Dosti ko pyaar mein badalte waqt nahi lagta hai…

Ae Khuda, log banane the patthar ke agar,
To mere ehsaas ko sheeshe sa na banaya hota.

Pal-pal tarse hum jis pal ke liye,
Woh pal bhi aaya zindagi mein bas ek pal ke liye.

Meri galti bas yeh thi ke maine har,
Kisi ko khud se zyada zaroori samjha.

Chal aa tere pairon par marham laga doon ae muqaddar,
Kuch chhotein tujhe bhi aayi hongi, mere sapno ko thokar maar kar.

Sad Shayari In English 2 lines

Fayda bahut giri hui cheez hai,
Log uthate hi rehte hain.

Akele hi kaatna hai mujhe ae zindagi ka safar,
Yun pal-do-pal saath chal kar meri aadat kharaab na karo.

Sukoon ki talaash mein hum dil bechne nikle the,
Kharidaar dard bhi de gaya aur dil bhi le gaya.

Main baithunga zaroor mehfil mein magar piyunga nahi,
Kyunki mera gham mita de itni sharab ki aukaat nahi.

Kiss se paimane wafa baandh rahi hai bulbul,
Kal na pehchaan sakegi gul-e-tar ki soorat.

Royeh kuch is tarah se mere jism se lag ke woh,
Aisa laga ki jaise kabhi bewafa na the woh.

Meri har aah ko waah mili hai yahaan,
Kaun kehta hai dard bikta nahi hai.

Ye ishq mohabbat ki, riwayatein bhi ajeeb hain,
Paaya nahi hai jisko use khona bhi nahi chahte.

Bahut der kar di tune meri dhadkanein mehsoos karne mein,
Woh dil neelaam ho gaya, jispar kabhi hukumat teri thi.

Pal-pal tarse hum jis pal ke liye,
Woh pal bhi aaya zindagi mein bas ek pal ke liye.

Kisi ko na paane se zindagi khatam nahi hoti,
Lekin kisi ko paakar kho dene se kuch baaki bhi nahi rehta.

Akele to hum pehle bhi the,
na jaane kyun akele ho gaye hain,
Tere jaane ke baad.

Bin dhaage ki sui si ban gayi hai ye zindagi,
Seelti kuch nahi, bas chubhti chali ja rahi hai.

Kaash ye silsila ho jaaye,
Main mit jaaun ya faasla ghatt jaaye.

Kanch ke dil the jinke unke dil toot gaye,
Hamara dil tha mom ka, pighalta hi chala gaya.

Mat kiya kar ae dil kisi se mohabbat itni,
Jo log baat nahi karte, woh pyaar kya karenge.

Kismat walon ko hi milti, panaah mere dil mein,
Yoon to har shakhs ko, jannat ka pata nahin milta..

Sad Alone Shayari In English

Chupke chupke pehle woh zindagi mein aate hain,
Meethi meethi baaton se dil mein utar jaate hain,
Bach ke rehna in husn walon se yaaro,
Inki aag mein kai aashiq jal jaate hain.

Nafratein laakh miliin par mohabbat na mili,
Zindagi beet gayi magar raahat na mili,
Teri mehfil mein har ek ko hansna dekha,
Ek main tha jise hansne ki ijaazat na mili.

Kar diya azaad unko, jo dil mein hamaare rehkar,
khwaab kisi aur ke dekhte the.

Unki awaaz sunne ko bekarar rehte hain,
shaayad isi ko duniya mein pyaar kehte hain,
kaatne se bhi jo na kate waqt,
usi ko mohabbat mein intezaar kehte hain…

Aati hai jab yaad teri to teri yaadon mein hum kho jaate hain,
aajkal tujhe sochhte-sochhte hi hum so jaate hain,
tu badnaam na ho isiliye jee raha hoon main,
varna marne ka iraada to roz hota hai.

Har waqt milti rehti hai, mujhe anjaani si saza,
main kaise poochhun taqdeer se ki mera kasoor kya hai.

Waqt ajeeb cheez hai, waqt ke saath dhal gaye,
tum bhi bahut kareeb the, ab bahut badal gaye.

Dhokaebaazi se bachne ke liye hum single hi rahe,
kyunki ye ladkiyan pyaar kam, dhoka zyada deti hain…

Dard hai dil mein par iska ehsaas nahi hota,
rota hai dil jab wo paas nahi hota,
barbaad ho gaye hum uske pyaar mein,
aur wo kehte hain is tarah pyaar nahi hota…

Phool khilte rahe jeevan ki raah mein,
khushi chamakti rahe aapki nigah mein,
har kadam pe mile khushi ki bahaar aapko,
mere dil se naye saal ki shubhkaamnaye aapko…

Barbaad kar gaye wo #zindagi pyaar ke naam se,
bewafai hi mili humein sirf wafa ke naam se.
zakhm hi zakhm diye usne dawa ke naam se,
aasman ro padi meri mohabbat ke anjaam se.

Top Sad Shayari 2025

Kuch to socha hoga kainaat ne tere-mere rishte par,
warna itni badi duniya mein tujhse hi baat kyun hoti.

Bina uske dil ka haal kaise batlaaun,
jaise khaali basta ho kisi naalayak bachche ka.

Jise chaaha, wo nahi mili,
shaayad isliye aaj bhi single hoon…

Mizaaj ko bas talkhiyan hi raas aayi,
hum ne kai baar muskara kar dekh liya.

Sirf do hi sab tera saath chahiye,
ek to abhi aur ek aane wale kal mein.

Jeena chahta hoon magar zindagi raaz nahi aati,
marna chahta hoon magar maut paas nahi aati,
udaas hoon is zindagi se, kyunki uski yaadein bhi to tarpaane se baaz nahi aati.

Mera junoon meri deewangi meri inteha ho tum,
tumhe bhala kaise samjhaaye mere liye kya ho tum.

Hum kahin likhna bhool na jaayein,
tum yun hi dil ko dukhaati raha karo.

Meri udaasi mujhse roz milne aati hai,
muskurakar har baar use rukhset kar deta hoon.

Yaadein mahaakaayega, geet likhwaayega,
aansoo chhalkaakar akela chhod jaayega,
ummeedein laayega, hasratein jagaayega,
jeena sikhayega, yaadein de jaayega,
naya saal kya laayega, naya saal bhi guzr jaayega…

Teekhi baaton se zakhm bhare to nahi hain,
thukra diye gaye hain par dare to nahi hain,
kya hua agar dil toot gaya hai,
mohabbat mein haare hain, mare to nahi hain.

Shayari In Roman English Sad

Mere khwabon ka ab koi aashiyana nahi hai,
apne dard ko mujhe ab mitana nahi hai,
meri majbooriyon ka fasana bhi kya ajeeb hai,
mujhe rona hai par kisi ko batana nahi hai.

Kisse paimane wafa baandh rahi hai bulbul,
kal na pehchaan sakegi gul-e-tar ki soorat.

Jise door jaana ho, wo bas busy hone ka bahaana banaata hai,
todkar kisi ka dil, kisi aur se pyaar jataata hai…

Kaash tera ghar mere ghar ke paas hota,
tujhse baat karna na sahi, tujhe dekhna to naseeb hota.

Yoon to galat nahi hote andaaz chehre ke,
lekin log, waise bhi nahi hote jaise nazar aate hain.

Waqt ki ravaani ne kuch is tarah sabak sikha daala,
wafa baaki rahi par mizaaj-e-ishq badal daala.

Bhale hi kisi gair ki jaagir thi wo,
par mere khwabon ki bhi tasveer thi wo,
mujhe milti to kaise milti, kisi aur ke hisse ki taqdeer thi wo.

Unko maaloom hai ki unke bina hum toot jaate hain,
phir kyun wo aazmaate hain humko bichad-bichad kar.

Yakeen tha ki tum bhool jaoge mujhko,
khushi hai ki tum umeed par khare utre.

Bewafai uski dil se mita ke aaya hoon,
khat bhi uske paani mein baha ke aaya hoon,
koi padh na le us bewafa ki yaadon ko,
isliye paani mein bhi aag laga kar aaya hoon.

Aaj kisi ne mujhse pooch hi liya,
zuban bahut meethi hai, zakhm gehra to nahi.

Us ne poocha tha kya haal hai,
aur main sochta reh gaya.

Hume to tumhari kasam dekar,
hazaaro ne lootaa hai.

Ai-Khuda, log banane the patthar ke agar,
to mere ehsaas ko sheeshe sa na banaya hota.

Shikayaton ki poori kitaab tumhe sunaani hai,
fursat mein agli zindagi sirf mere liye lekar aana.

Do Line Sad Shayari

Tum mood mein nahi the to kyun banaya mujhe rab,
mitti dubara gutho aur phir se banao mujhe.

Ishq adhura ho to hi bayaan hota hai, saahib,
mukammal mohabbat ke shaayar sune nahi maine…

Muqaddar ki likhaawat ka ek aisa bhi kaayda ho,
der se kismat khulne walon ka dugna faayda ho…

Teri chaukhat se sir uthaoon to bewafa kehna,
tere siwa kisi aur ko chaaho to bewafa kehna.
meri wafaaon pe shak hai to khanjar utha lena
main shauk se mar na jaaun to bewafa kehna.

Jiske naseeb mein hon zamaane ki thokre,
us badnaseeb se na sahaare ki baat kar.

Waqt ki yaari to, har koi kar leta hai,
maza to tab hai jab, waqt badle aur yaar na badle.

Kuch is tarah padhe gaye hum, jaise purana akhbaar the.
kuch is tarah chhoot gaye hum, jaise ganit ka sawaal the.

Meri koshish kabhi kaamyab na ho sake,
na tujhe paane ki, na tujhe bhulaane ki.

Royé kuch is tarah se mere jisam se lag ke wo,
aisa laga ki jaise kabhi bewafa na the wo.

Akele hi kaatna hai mujhe ai zindagi ka safar,
yun pal-do-pal saath chal kar meri aadat kharaab na karo.

Aashiqui ki had to dekho,
dhokha milne ke baawajood bhi,
hum unpe marte hain…

Ai dil thoda intezaar kar,
use bhi pata chal jaayega usne kya khoya hai.

Ulajhte rehne mein kuch bhi nahi thakan ke siwa,
bahut hakeer hain hum, tum badi hai ye duniya.

Friend kabhi apne dost ki sachai ka imtehaan na lena.
kya pata us waqt wo majboor ho, aur tum ek accha dost kho do.

 

 

Conclusion:

In moments of heartbreak and emotional turmoil, Sad Shayari in Roman English becomes more than just words — it becomes a companion that understands your silence. The 120+ Sad Love Shayari in English provided in this collection offer a space for reflection, healing, and connection. Whether you’re expressing your feelings on social media, sending a message to someone who once mattered, or simply reading to find comfort, these shayaris help put your pain into poetry. Written in Roman English, they are easily accessible for readers who connect more with the emotional tone than the traditional script. Love is not always about happiness — sometimes, the sadness it brings teaches us the deepest lessons about life and ourselves. Through these touching lines, may you find a voice for your sorrow and a path toward emotional release. Let each Shayari remind you that you’re not alone in your pain — others feel it too.

Leave a Comment